tumhaare khat mein naya ik salaam kis ka tha, na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha Daagh Dehlvi
lutf wo ishq mein paaye hain ke ji jaanta hai, ranj bhi aise uthaaye hain ke ji jaanta hai Daagh Dehlvi
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain, saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin Daagh Dehlvi