lutf wo ishq mein paaye hain ke ji jaanta hai, ranj bhi aise uthaaye hain ke ji jaanta hai Daagh Dehlvi
ranj se khoogar hua insaan to mit jaata hai ranj, mushkilen mujh par padeen itni ke aasaan ho gaeen Mirza Ghalib
qaid-e-hayat-o-band-e-gham asl mein dono ek hain, maut se pehle aadmi gham se nijaat paaye kyun Mirza Ghalib