kitna hai bad-naseeb Zafar dafn ke liye, do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein Bahadur Shah Zafar
ab to ghabra ke ye kahte hain ke mar jaayenge, mar ke bhi chain na paaya to kidhar jaayenge Sheikh Ibrahim Zauq
ulte wo shikwe karte hain aur kis ada ke saath, be-taaqati ke taane hain uzr-e-jafa ke saath Momin Khan Momin
zindagi kya hai anaasir mein zuhoor-e-tarteeb, maut kya hai inhi ajzaa ka pareshan hona Brij Narayan Chakbast
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam, wo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota Akbar Allahabadi
hai justuju ke khoob se hai khoob-tar kahan, ab thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan Altaf Hussain Hali
nahin tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par, tu shaheen hai basera kar pahaadon ki chattanon mein Allama Iqbal
baare duniya mein raho gham-zada ya shaad raho, aisa kuchh kar ke chalo yaan ke bahut yaad raho Mir Taqi Mir
lutf wo ishq mein paaye hain ke ji jaanta hai, ranj bhi aise uthaaye hain ke ji jaanta hai Daagh Dehlvi
patta patta boota boota haal hamara jaane hai, jaane na jaane gul hi na jaane baagh to saara jaane hai Mir Taqi Mir
ranj se khoogar hua insaan to mit jaata hai ranj, mushkilen mujh par padeen itni ke aasaan ho gaeen Mirza Ghalib
ug raha hai dar-o-deewar se sabza Ghalib, hum bayaabaan mein hain aur ghar mein bahaar aayi hai Mirza Ghalib
un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq, wo samajhte hain ke beemar ka haal achha hai Mirza Ghalib
dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye kyun, royenge hum hazaar baar koi hamein sataaye kyun Mirza Ghalib
hum ko maloom hai jannat ki haqeeqat lekin, dil ke khush rakhne ko Ghalib ye khayaal achha hai Mirza Ghalib