hain aur bhi duniya mein sukhanwar bahut achhe, kehte hain ke Ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur Mirza Ghalib
qaid-e-hayat-o-band-e-gham asl mein dono ek hain, maut se pehle aadmi gham se nijaat paaye kyun Mirza Ghalib
ragon mein daudte phirne ke hum nahin qaail, jab aankh hi se na tapka to phir lahu kya hai Mirza Ghalib
sab kahan kuchh lala-o-gul mein numaayaan ho gaeen, khaak mein kya sooraten hongi ke pinhaan ho gaeen Mirza Ghalib
hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle, bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle Mirza Ghalib
hui muddat ke Ghalib mar gaya par yaad aata hai, wo har ek baat par kehna ke yun hota to kya hota Mirza Ghalib
na tha kuchh to khuda tha kuchh na hota to khuda hota, duboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota Mirza Ghalib
rahiye ab aisi jagah chal kar jahan koi na ho, hum-sukhan koi na ho aur hum-zabaan koi na ho Mirza Ghalib
nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin, bahut be-aabru ho kar tere kooche se hum nikle Mirza Ghalib
ye masail-e-tasawwuf ye tera bayan Ghalib, tujhe hum wali samajhte jo na baada-khwar hota Mirza Ghalib
hazaaron saal nargis apni be-noori pe roti hai, badi mushkil se hota hai chaman mein deedawar paida Mirza Ghalib
mohabbat mein nahin hai farq jeene aur marne ka, usi ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dam nikle Mirza Ghalib
He who judges of pleasure or pain everywhere, by the same standard as he applies to himself, that Yogi, O Arjuna, is regarded as the highest. Lord Krishna
Speak the truth, do not yield to anger; give, if thou art asked for little; by these three steps thou wilt go near the gods. Buddha
No man, for any considerable period, can wear one face to himself, and another to the multitude, without finally getting bewildered as to which may be the true. Nathaniel Hawthorne
khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pahle, khuda bande se khud poochhe bata teri raza kya hai Allama Iqbal
There is no difference between Time and any of the three dimensions of Space except that our consciousness moves along it H. G. Wells